Nazrein - Ghazal | Paaris Sohail
![]() |
| Nazrein - Sad Urdu Ghazal by Paaris Sohail |
Bojhal Palkein, Bimaar-o-Beqaraar Nazrein
Kashmakash Mein Hain Mubtala Lachaar Nazrein
Kashmakash Mein Hain Mubtala Lachaar Nazrein
Gar Chahein To Jheel Jaayein Hazaar Gham
Ji Chahein To Baras Parein Gaddaar Nazrein
Dukh Hone Lagta Hai Chehre Par Numayan
K Jab Kabhi Hoti Hain Aabdaar Nazrein
Anjar Panjar Kar Daala Zamane Ne Dheela
Dikhne Lagi Hain Naheef-o-Nazaar Nazrein
Ho Gaya Dushwaar Duniya Mein Do Pal Ka Jeena
Sab Bayaan Karne Lagi Razdaar Nazrein
Dua-e-Kher Karo Paaris K Haq Mein
Naqahat Mein Hain Mubtala Mumtaz Nazrein
Meaning of Tough Words in Nazrein Ghazal:
- [accordion]
- Bojhal
- Thaka Hona.
- Kashmakash
- Becheni.
- Numayan
- Zaahir Hona.

COMMENTS